Sunday, September 18, 2005

Barsaat Aayegi


Ek soch, hamesha, hardam, har ghadi,
Aasman par chaye kaale badal jaise,
Saari roshni ko roke khadi hai,
Barsaat aayegi.

Geeli hawaon ki seelan deeware gira rahi hai,
Deeware jo ghar banati hain, aur sarhaden bhi,
Aur main hoon ki usi dewaar ke sahare khada hoon,
Barsaat aayegi.

Patton ka hara nikhar raha hai,
Kamsin dhoop kahin sharma rahi hogi,
Par ye jo badalon main goonj raha hai, yeh tum to nahi ho.
Barsaat aayegi.

Unchooyi, unkahi, tumhari madmati hansi,
Kya us maikhane par bhatak gayi hai?
Bheegne ke dar se ja chupa hu usi maikhane mai,
Barsaat aayegi.

Chamatki bijli mai jagmagati gadiyan,
Bhatak gayi hain bheed ke veerano main,
Usi veerane main tumhe kabse dhoond raha hoon,
Barsaat aayegi.

Ajnabi baarish main, tum, humsafar,
Phir bhi baarish se jaise barso ka naata hai,
Aur tumhe main aaj bhi nahi pehchan paya,
Barsaat aayegi.

Na vaade, na kasme, na saath tumhara,
Batao, kuch kabhi manga hai maine?
Tumhari chatri ka aasman, thoda, shayad maang loon.
Barsaat aayegi.

4 comments:

  1. Its beautiful!!

    Yaayy barsaat aayegi!! :D

    ReplyDelete
  2. Hey poet you write beautifully.

    ReplyDelete
  3. a few drops of rain indeed! ;o)

    ReplyDelete
  4. @mirage : Thank you, but the question remains... ki barsaat aayegi to kab aayegi?

    @ab : Hey AB! Welcome to da blog. Thank you! Hope to see you back sometime.

    @sonia : Every once in a while it is good to live up to one's name ;o)

    ReplyDelete