A Jagjit Singh ghazal ...
Hoshwalon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai,
Ishq keejiye phir samajhiye zindagi kya cheez hai.
Unse nazre kyaa mili roshan fizaye ho gayi,
Aaj jaana pyar ki jadoogari kya cheez hai,
Ishq keejiye phir samajhiye zindagi kya cheez hai.
Khulti zulfon ne sikhayee mausamo ko shayari,
Jhukti aankhon ne bataya maikashi kya cheez hai,
Ishq keejiye phir samajhiye zindagi kya cheez hai.
Ham labon se keh na paye unse haale dil kabhi,
Aur woh samjhe nahi ye khamoshi kya cheez hai.
Ishq keejiye phir samajhiye, zindagi kya cheez hai.
Hoshwalon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai,
Ishq keejiye phir samajhiye zindagi kya cheez hai.
No comments:
Post a Comment