Saturday, September 16, 2006

Jab aadat ho chali thi (Reprise)...

Jab aadat ho chali thi,

tab...



Khamosh raaton mein
anjaan hansi kaano se takrati hai,

Sunsan kamron me
khilti chandni bikhri jaati hai,

Anjaan bheed mein
benaam nigahein uth kar milti hain,

Goonjti galiyon mein
muskurate hue khwab umad aaten hai,

Kisi ke naye aansu
purane zakhm dho dalte hain,

Ankahi baatein samajahne
koi parchayi aati hai,

Bayaar mein phir se khushboo
luka-chuppi khelti hai,

Zindagi mein koi ansuni
awaaz mishri si ghulti hai,

Koi pari apne nanhe
haathon se thaki palkein selhlati hai,

Berang safedi se wohi
satrangi zindagi umadti hai,

Masoom agwah hansi mein zindagi
phir se lehrati hai,



Ab aadaten badalne par majboor hain,

ab?

The poem on the previous post, which I left incomplete, is completed here by my friend Chaos.

4 comments:

  1. Here after so many days and glad that I am here after so many days.

    ReplyDelete
  2. @sines: Hey, how are you? Nice to have you back after so many days.

    @mirage: :o)

    @essar: In the next post, SeƱorita.

    ReplyDelete