Wednesday, February 02, 2022

Gehraiyaan

Tera mera, dono ka dil besabar
Besabar, besabar,
Sham-o-seher dono ka dil bekhabar.
Bekhabar, bekhabar,
Yun kashtiyaan hamaari, yun takra gaayin.
Lehar, lehar,
dono ka dil besafar.
Besafar, besafar,
Haan doobey, haan doobey
Ik dooje mein yahan...

Besabri me doob gaye
saansen nilaam ho gayi.
Manzilen tum me dhundla gayin
bina chale hi shaam ho gayi.
Hum ko tum khaas lagi bohot
pyaas fir kyun aam ho gayi.
Kashtiyon ko to toofan ne behkaya
hamari hidayat badnaam ho gayi.



Ya to barbaad kar do,
ya phir aabaad kar do.
Woh galat tha, ye sahi hai
Jhut ye aaj keh do...

Keh to main dun tumhe
kehne me na koi harz hai.
Par barbaad hoke bhi
kahan ilaaj hoga uska
Jism me chupa jo marz hai.



Itna bhi dur mat jaao, ke paas aana mushkil ho
Itna bhi paas mat aao, ke door jaana mushkil ho
Jaane bhi do, kaha maano mera
Aisa laga badan chuke tera, koi chingaari chuli...

Dimaag keh raha hai kaam par dhyaan do
Baki jism kisi aur raah chal raha.
Barbaad kar jayegi ye kheencha-tani hamen
Fir bhi dil teri shayari pe machal raha.
Bina dekhe, sune ye haal hai
(chu liya to jal jal marenge dono)
Tu abhi maar de, agar na ye kal raha.


The lyrics for the songs Aabaad, Barbaad (from the film Ludo), Doobey (from the film Gehraiyaan) and Bhul Gaya Sab Kuch (from the film Julie) are creations of their respective lyricists. The songs are inspirations and counters to my pedestrian utterances.

No comments:

Post a Comment