Thursday, May 01, 2008

Ijazat

Raat ke saaye chuppi saadhe soch rahen hain,
Ke hawa apne daure par kab aayegi?
Khamosh pedho ki shaakhon par chandni ke patte,
Sehme hue falak ke ishare par kan lagaye baithe hain.

Andhere lamho ka daman is qadr bheeg raha hain,
Jaise waqt ki surahi se madhosi beinteha beh chali ho.
Aise me ek pakizah si chuaan,
Sharmate jism ki dhadkan mehsoos karne par aamada hai.

Ae aarzoo-e-shararat, zara aahista se izhaar kar,
Kahin ye jannat ka noor bihkar na jaye.
Jo chilman ke paar se nikal kar husn hazir hai,
Tere harqat-e-junoon se use zarre si sikhayat na ho.

Meri janasheen, meri muskurahaton ka suroor,
Teri ijazat ke liye meri rooh ki sansen ruki hain.
Ye alfaaz teri mehfil me diye jaata hoon,
Is makhboot dil ki raat ke liye, ae mahtaab, teri roshni ka khwab kafi hai.

No comments:

Post a Comment