Monday, February 26, 2007

Tinke ki tarah

Ruswan raton main jab
tum bina sapno ke so jao,
Umadti bheed main jab
khud ko akela khada pao;
Aur jab tum manzil ki talaash main kho jaoge,
Tinke ki tarah,
mujhe apne saath behta paoge.
Tinke ki tarah,
mujhe apne saath behta paoge.

Koi dosti ka haath agar
tumhara haath na thaam le,
Beraham zindagi jab
tumhare saath sakthi se kaam le;
Aur jab tum apne dard par aur ro bhi nahi paoge,
Tinke ki tarah,
mujhe apne saath behta paoge.
Tinke ki tarah,
mujhe apne saath behta paoge.

Jao aazaad panchi
udkar apna aasmaan choomon,
Tumhara savera, tumhara suraj,
apni duniya main azaad ghoomon;
Aur agar dost chaho, to mujhe peeche chalta paoge,
Tinke ki tarah,
jab bhi behti zindagi main saath chahoge.
Tinke ki tarah,
jab bhi behti zindagi main saath chahoge.

Inspired by the magical Bridge over troubled water, by Simon and Garfunkel.

2 comments:

  1. Ah the evergreen songs of S & G...!

    Beautiful poem, as always. :)

    ReplyDelete
  2. @mirage: Yes, it's a super song, isn't it!

    ReplyDelete