Sunday, January 20, 2008

Usi ki talash kyun?

Tez bhagti zindagi ke peeche
Hanfta hua mai,
Saanse jo is zindagi ko chalaye
Woh kahan hai lekin.

Phir ek din dil ki khidki par giri
Kuch madmati baarish ki boonden,
Jaise pukaar kar keh gayi
Main hoon, tumhari zindagi.

Par yeh kya! Woh aayi par
Bijli nahi kadki,
Hawaon me ek bheeni mehak jaagi,
Dhadkane chal padhi, lekin daudi nahi.

Kuch jadoo ki tarah asar to hua
par nazar nahi aaya,
Zamane ke shor me jaise ghula ek dhua
Sannate ka ek kona dhoond raha ho.

Tabhi, hoton ke kisi kone se nikalkar,
Ek hansi god me aa giri,
Aur usne kaha, jis zindagi ko ji rahe ho
Usi ki talash kyun?

No comments:

Post a Comment